Jang lazim hai to jang hi sahi
Zalim ko jo na rokay wo shamil hai zulm mai
Qatil ko jo na tokay wo qatil k sath hai
ham sarbakaf uthay hain k haq fatahyaab ho
keh do unhain jo lashkar e batil k sath hai
Is dhang per hai zoor to yeh dhang hi sahi
Jang lamzi hai to Jang hi sahi
میں تیرے ملنے کو معجزہ کہہ رہا تھا لیکن
تیرے بچھڑنے کا سانحہ بھی کمال گزرا
Friday, April 22, 2011
Hum bhula nahi paaye
Ham Bhula nahi paey
Terat payar main janan
kis tarah guzaray thay
Zindagi k roz o shab
Ore jab samay aya
Zindagi ki rahon pe rasta badalnay ka
Tum se jan bicharnay ka
Dil pe kya Azaab aey
Zindgi k wo lamhay
Ham bhula nhe paey
Duriyan muqadar hain
Duriyaa muqadar hai !
sogwar lehjay main
Pair khushk paton se
keh rahay hain patjhar hai
doorian muqadar hain
sogwar lehjay main
Pair khushk paton se
keh rahay hain patjhar hai
doorian muqadar hain
Thursday, April 14, 2011
Khush raho hamaisha
Tu to nazon se pali thi ay meri jigar gosha
Aaj tu hui parai jao Khush raho hamaisha
Mehndi k geet teri sakhian ga rahi hain
babul k sunsan angan ko jagmaga rahi hain
Rang e hina se mehki jab teri nazuk si unglian
Hijr k suron main doob gae shehnain
Aaj tu hui parai jao Khush raho hamaisha
Mehndi k geet teri sakhian ga rahi hain
babul k sunsan angan ko jagmaga rahi hain
Rang e hina se mehki jab teri nazuk si unglian
Hijr k suron main doob gae shehnain
Saturday, April 9, 2011
Maa ki muhabbat anwar masood heart touching poetry
Maa ki muhabbat
by
anwar masood
heart touching poetry video
Tuesday, April 5, 2011
Milna ittefaq bicharnba naseeb tha
Milna ittefaq tha bicharnba naseeb tha.
ho gaya door door jo meray dil k qareeb tha
main us ko daikhnay ko tarasta reh gya
jis ki hatheli pe apna naseeb tha
ho gaya door door jo meray dil k qareeb tha
main us ko daikhnay ko tarasta reh gya
jis ki hatheli pe apna naseeb tha
chehray pe haya ka roop jesay
chehray pe haya ka roop jesay
darya main shafaq si khul gae hai
wo mehw e kharam yun hai ..jesay
ik shakh hawa se khailti hai
darya main shafaq si khul gae hai
wo mehw e kharam yun hai ..jesay
ik shakh hawa se khailti hai
umer bhar ki kamai
umer bhar ki kamai by amjad islam amjad
Wo jo aik khawab si raat thi
meray bakht main.
yumhi aik pal main guzar gae
wo guzar gae to pata chala.......
Wohi aik kaam ki chez thi
Meri zindagani k rakht main
Wo jo aik khawab si raat thi
meray bakht main.
yumhi aik pal main guzar gae
wo guzar gae to pata chala.......
Wohi aik kaam ki chez thi
Meri zindagani k rakht main
Aina
Aenay se bhala kahan nisbat
dil bari khamoshi se tota tha
main tha pat jhar ka barg e awara
Tu khazan ki hawa ka jhonka tha
dil bari khamoshi se tota tha
main tha pat jhar ka barg e awara
Tu khazan ki hawa ka jhonka tha
Subscribe to:
Posts (Atom)