Ik taza hikayat hai
sun lo to inayat hai
sun lo to inayat hai
ik taza hikayat hai, Sun lo to inayat hai
ik shakhs ko daikha tha, taaro'n ki tarah hum nay
ik shakhs ko chaaha tha, apno'n ki tarah hum nay
ik shakhs ko sajha tha, phulon ki tarah hum nay
woh shakhs qayamat tha, kya uski karein baatain
din us k liye behta, or uski he thein raaten
kab milta kisi say tha, hum say thein mulaqaatein
rang uska shaahabi tha, zulfo,n mein thein mehkaarain
aankhain thein k jaadu tha, palkain thein k talwaarain
dushman b agar daikhain, so jaan say dil haarain
kuch tm say wo milta tha, baato,n mein shabaahat thi
haan tm sa he lagta tha, shokhi mein, sharaarat mein
lagta b tum he sa tha, dastoor-r-mohabbat mein
wo shakhs humain ik din, apno,n ki tarah bhoola
taaro,n ki tarah dooba, phoolo,n ki tarah toota
phir haath na aaya wo, hm nay bohat dhoonda
tm kis liye chonkay ho, kab zikr tumhara hai
kab tm say takaaza hai, ik taza hikayat hai
sun lo to inayat hai, ik shakhs ko dekha tha apno,n ki tarah hum nay
ik shakhs ko chaaha tha apnon ki tarah hum nay
ik taza hikayat hai
sun lo to inaayat hai
No comments:
Post a Comment