میں تیرے ملنے کو معجزہ کہہ رہا تھا لیکن
تیرے بچھڑنے کا سانحہ بھی کمال گزرا

Ads

Tuesday, March 1, 2011

judaian to muqadar hain

judaian to muqadar hain magar ai gham e hijran
Ajab phool say sathi bichar gaey ab k

Bachpan

chalo phir dhond laen ham
usi masoom bachpan ko

kahan kon kis se bichar gaya

kahan kon kis se bichar gaya

aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha
Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha
Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha
Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha
Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha

~*~Kal halki halki barish thi~*~

~*~Kal halki halki barish thi~*~

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha

Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha

Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay

Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay

Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin

Kal yaad bohut tum aye thay
KAL YAAD BOHAT TUM AYE THAY

meri tehreer k ansu….!!~~♥♥


Suna ho ga bohat tum ne.
kaheen ankho ki rim jhim.
kaheen palkon ki shabnam.
parha ho ga bohat tum ne.
kaheen lehjey ki barish.
kaheen sagar k ansu.
magar tum ne kabhi humdum.
kaheen dekhey? kaheen parkhey?
kisi tehreer k ansu.
mujhe teri judai ne.
yehe mehraj bakhshi hai.
k main jo lafz likhta hon.
wo sarey lafz rotey hain.
k main jo hurf bunta hon.
wo sarey ben kartey hain.
mere sang iss judai main.
mere alfaz rotey hain.
subhe tahreef kartey hain.
meri tehreer ki lakin.
kabhi koi nahi sunta.
mere alfaz ki saski.
falak b jo hila daley.
mere lafzon main hain shamil.
ussi taseer k ansu.
kabhi dekho mere humdum.
meri tehreer k ansu….!!~~♥♥

sawad e zindagani main aik aise sham aati hai

bas chaho itna

muje bas itna chaho k
muj main chahay janay ka ehsah uthay

kise b dukh pe malal karna

kise b dukh pe malal karna, na us ko aya na muj ko aya

dosti k safar mai

Choti se meri ye shart

Choti se meri ye shart

Chalo ik nazam kehtay hain

Chalo ik nazam kehtay hain ,
wo barkha rut ke bondon main,
kise choti se wadi mai,
Guzaray jo tumharay sath un lamhon par
bohat masoom jazbon par
Tumhari shokh ankhon per
larazti apni palkon par
Chalo ik nazm kehtay hain

Fakhira batool

Wo lamha ay meri zindagi main agar

Wo lamha ay meri zindagi main agar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Follow on Facebook