میں تیرے ملنے کو معجزہ کہہ رہا تھا لیکن
تیرے بچھڑنے کا سانحہ بھی کمال گزرا

Ads

Friday, November 18, 2011

zakhm-tanhaaee main khushboo-e-hina kis kee thee....!!!!!

zakhm-tanhaaee main khushboo-e-hina kis kee thee....!!!!!





zakhm-tanhae main khushboo-e-hina kis kee thee
saaya deevar pay maira tha sada kis kee thee

us kee raftar say liptee rahee mairee aankhain
us nay mur kar bhee na daikha kay wafa kis kee thee

waqt kee tarha dabay paaun ye kaun aaya hay
main andhaira jisay samjha wo qaba kis kee thee

aansuon say hee sahee bhar gaya daaman maira
haath to main nay uthaye thay dua kis kee thee

mairee aahon kee zabaan koee samajhta kaisay
zindagee itnee dukhee mairay siva kis kee thee

aag say dostee us kee thee jala ghar maira
dee gaee kis ko saza aur khata kis kee thee

main nay beenaayaan bo kar bhee andhairay kaatay
kis kay bas main thee zameen abr-o-hava kis kee thee

chore dee kis kay liay too nay "muzaffar" dunia
justujoo see tujhay har waqt bata kis kee thee....!!!!

 

kuch log bohat yaad atay hain

jab yaad ka album kholon to kuch log bohat yaad atay hain
main apna bachpan sochon to kuch log bohat yaad atay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Follow on Facebook